Aperçu

Écoutez en illimité un large choix de livres audio, créations & podcasts Audible Original et histoires pour enfants.
Recevez 1 crédit audio par mois à échanger contre le titre de votre choix - ce titre vous appartient.
Gratuit avec l'offre d'essai, ensuite 9,95 €/mois. Résiliez à tout moment.

Crime Stories by Delhi Press, Season 17

De : Delhi Press
Lu par : Manish Singhal
Essayer pour 0,00 €

9,95 € par mois après 30 jours. Résiliez à tout moment.

  • Résumé

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Afficher plus Afficher moins
Les membres Amazon Prime bénéficient automatiquement de 2 livres audio offerts chez Audible.

Vous êtes membre Amazon Prime ?

Bénéficiez automatiquement de 2 livres audio offerts.
Bonne écoute !
    Épisodes
    • खून में डूबे कस्में वादे: भाग
      Oct 6 2022
      Maharashtra mein Amravati sheher ke Shah coaching centre se dopehar ke 3 baje jab chatr chutti ke baad ghar ke liye nikle toh bahar khade naujawan ne bus stop par pahunchi 2 ladkiyon ka rasta rok liya. Un ladkiyon ke naam Arpita aur Aparna the. Ladke ka naam Tushar tha jise dekh kar Arpita ghabra gayi thi. Arpita ne Tushar ko waha jaane se kaha toh ve bola ki shaadi ki hai toh veh kyon jaye. Is par Arpita ne kaha ki ve sab nadani thi aur ab ve use bhool jaye. Par Tushar toh jaise bhara baita tha aur usne chaaku nikal kar Arpita par kai baar vaar kiye. Aparna use bachane aai toh Tushar ne use bhi ghayal kar diya. Tushar bhaagne laga toh waha khade kuch log uske peeche bhaage aur kuch ne Arpita aur Aparna ko aspatal pahunchaya. Arpita mar gayi thi. Idhar bheed ne Tushar ko jam kar peeta, police ne kisi tarah use apne kabze mein liya. Dono parivaaron ki apni apni kahani thi. Ve ladke aur ladki ko is kaand ke liye kusurvar thehra rahe the.
      Afficher plus Afficher moins
      15 min
    • पति को दी जलसमाधि
      Oct 6 2022
      Agra ki Vidisha ki shaadi Khatipura ke Chotelal se hui thi. Bindiya ki suhagrat par sharab ke nashe mein chotelal ne suhagraat ke bajaye balatrat manai thi. Chotelal ab ghar jamai bhi ban gaya tha, waha uski jaan pehchan Bindiya ke purane aashik Rajkumar se hui. Rajkumat aur Bindiya fir kareeb aa gaye aur kasbe ke bahar jungle mein milne lage. Is rishte ki bhanak gaon waalo ko lag gayi aur fir chotelal ko bhi. Usne unhe range haath pakad liya aur Bindiya ko khoob peeta. Bindiya ne maafi maang li aur Rajkumar ne bhi doori banana ka wada de diya. Lekin ab Chotelal dono pe nazar rakhne laga, aur fir wo ek din achanak gayab ho gaya. Is beech police ko ek anjan laash mili, taftish mein saamne aaya ki wo chotelal ki laash thi. Bindiya aur Rajkumar ne mil kar use zeher diya tha aur fir laash nadi mein baha di thi.
      Afficher plus Afficher moins
      15 min
    • मौत की छाया: भाग
      Oct 6 2022
      Ek subah kuch naujawan gangneher mein nahane utre. Us din ganga dussehra tha. Kinaar par ek motorcycle khadi thi aur kisi ke kapde aur mobile phone bhi rakha tha. Un naujawano ko pani ke bhitar kisi ki laash mili. Police ko bulaya gaya. Mobile phone se pata chala ki veh laash Pushpendra Kumar ki thi jo apne sasural gaya tha par lauta nahi. Postmartem report mein pata chala ki Pushpendra ki hatya gala ghot kar hui thi. Patni Chaya par shak gaya, kyonki veh kisi kathavachak Santosh ke chakkar mein thi. Pushpendra aur Chaya ka mamla court mein chal raha tha. Police ne sakhti barti toh pata chala ki Chaya ne rajiname ke bahane Pushpendra ko apne mayke bulaya tha. Waha Chaya ne cold drink mein behoshi ki dawa mila kar Pushpendra ko pila di aur Santosh ki madad se uski hatya kar di. Par ve dono police se nahi bach paye.
      Afficher plus Afficher moins
      18 min

    Ce que les auditeurs disent de Crime Stories by Delhi Press, Season 17

    Moyenne des évaluations utilisateurs. Seuls les utilisateurs ayant écouté le titre peuvent laisser une évaluation.

    Commentaires - Veuillez sélectionner les onglets ci-dessous pour changer la provenance des commentaires.

    Il n'y a pas encore de critique disponible pour ce titre.